Thursday, May 10, 2007

Tuesday, May 08, 2007

first ever

kuch aisa toh nahin hua
unke bagairr zindagii tham toh nahin gayii
aansuu chhalkaye
pal do pal, woh bhi thamm jaayenge
reh jaayengii kuch yaadein
unhe panaah toh de hi denge

saath basenge kuch sawaal,
anokhe, anjaane, kuch jayaaz
unhe chakhenge,
aankhon mein, baaton mein
mehkti, behekti saason mein
raaton ke andhere mein
aansun se baat karayenge

ek naam, kuch tasweerein
raaton ki neendein
hosh, dhadkane, thodi bechaini
baatein ankahi
baatein chhu gayin
chhup chhupke mujhse
behke lamhe dohrata hai
mann mera,
ab kuch chanchal sa rehta hai